Saturday, March 7, 2009

Dil ki awaaz bhi sun.....



Gham ne hasne na diya, Zamane ne rone na diya,

Is uljhan ne chain se jine na diya,
Thak ke jab sitaron mai panah li,
Neend ayi to teri yaad ne sone na diya…


Zindagi Jaise ek saza si ho gayi hain, Gham ke sagar mai is kadar kho gayi hain, Tum aajao wapis yeh guzarish hain meri, Shayad mujhe tumahari aadat si ho gayi hain…..




ik nazar dekh le , Jeene ki ijaazat de de.. rooth ne wale woh pehli si muhabbat de de


Ishq maasoom hai , Ilzaam lagaane pe na ja.


Waqt insaan pe aisa bhi kabhi aata hai, raah mein chod ke saaya bhi chala jaata hai.

Din bhi niklega kabhi , raat ke aane pe na ja...

Meri nazron ki taraf dekh , Zamaane pe na ja.